Kanz e Aza

Shukriya ya Fatema

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Shahid Baltistani. Lyrics in Roman Urdu.

abad wallah ya zahra maaninsa hussaina


matami mujhko banaya aap ne mazloom ka

shukriya ya fatema

meri matti mein bhi rakh di aap ne khaak e shifa

shukriya ya fatema


jab bichaya farshe matam hazrate shabbir ka

pursa lene qabr se aayi mere ghar fatema

ye mera kaccha makan bhi rashk e jannat hogaya

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...


dil bhatakta tha mera dunya ke gham mein darbadar

aap ne kar ke meri kotahiyon ko darguzar

bakhshwane ke liye karbobala bulwa liya

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...


zulm ka aiwaan khutbe se se giraya aap ne

haq mile ya na mile sar na jhukaya aap ne

nusrat e mazloom ka hum ko dikhaya raasta

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...


jab bandhi gardan mein rassi shaah e khyber-geer ke

apne waali ko bachaya zaalimon se aap ne

hashr tak hyder ke lab par hai tabhi ye marsiya

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...


ehteram e fatema ka ye mila usko sila

uska qadh bhi ambiya se ek lamhe mein badha

rukh baqayya ki taraf karke ye di hurr ne sada

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...


jaa ke balwe mein bachaya ismat e shabbir ko

tarbiyat yun aap ne di zainab e dilgeer ko

meri behno ko bhi parde ka saleeqa aa gaya

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...


jab suni maa ne madine mein ye zainab se khabar

ho gaye shabbir pe qurban uske sab pisar

kehke ye ummul baneen ne shukr ka sajda kiya

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...


dekhte hai ek hasrat se teri tooti lehad

aur bhala darwaish kya hogi kareemi ki sanad

tu ne har ek matami ka dil baqayya kar diya

shukriya ya fatema

matami mujhko banaya...