Kanz e Aza

Sitam ki Hogayi Ye

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Zafar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

sitam ki hogayi ye inteha rasool ke baad

chali hai maange haq fatema rasool ke baad

sitam ki hogayi…


rasool zaadi khadi kyun rahi sar e darbar

ye kaun taqt pe baitha raha rasool ke baad

sitam ki hogayi…


wo jaake shehr ke baahar padar ko roti rahi

kisi ne ghar mein na rone diya rasool ke baad

sitam ki hogayi…


shaheed hogaya uski hi zarb se mohsin

dare batool jalaya gaya rasool ke baad

sitam ki hogayi…


wo jurm kya tha ke jis par ali ko galiyon mein

rasan ke baandh ke khayncha gaya rasool ke baad

sitam ki hogayi…


shikasta hogaya kaise batool ka pehlu

batao zulm ye kisne kiya rasool ke baad

sitam ki hogayi…


koi bataye hamein kyun batool ke ghar se

hamesha rone ki aayi sada rasool ke baad

sitam ki hogayi…


jo chehre aaya e tatheer ke bane tafseer

unhe phiraya gaya berida rasool ke baad

sitam ki hogayi…


zafar nabi ke gharane pe dhaake zulm o sitam

sajayi jaane lagi karbala rasool ke baad

sitam ki hogayi…