goonjti hai kis ke rone ki sada
subbat alaiyya masayebun lau annaha
ay madina hai ye kiska marsiya
subbat alaiyya masayebun lau annaha
mere baba kya bataun aap ko
ro na paayi ek beti baap ko
khoob ummat ne diya mujhko sila
subbat alaiyya masayebun...
qabr mein le kar ye gham jaaungi mai
kaise wo manzar bhula paaungi mai
rassiyon mein abul hasan ka tha gala
subbat alaiyya masayebun...
meri aankhon mein andhere cha gaye
batn mein mohsin shahadat paa gaye
mujhpe darwaza gira jalta hua
subbat alaiyya masayebun...
kya kahun mujh par jo guzri sakhtiyan
kis tarha dekhoge tooti phasliyan
band karlo aankhein ay khyber kusha
subbat alaiyya masayebun...
le ke bachon ko bhare darbar mein
haq ki khaatir majma e aghiyaar mein
jaa na sakti thi magar jaana pada
subbat alaiyya masayebun...
uff wo matam ab jo karna hai mujhe
maqtalon se bhi guzarna hai mujhe
mere khoon ko dekhna hai karbala
subbat alaiyya masayebun...
ay khuda dil kaun sa laaungi mai
zabt aakhir kaise kar paaungi mai
betiyan jab hongi meri berida
subbat alaiyya masayebun...
koi gumbad aastan koi nahi
qabr par bhi sayeban koi nahi
ay musalmano yehi hota hai kya
subbat alaiyya masayebun...
apne baba ko mai royi dhoop mein
sab kameini apni khoyi dhoop mein
aaj be-saaya hai phir marqad mera
subbat alaiyya masayebun...
bazm mein aamir hai ek shor e fughan
wo asar nayyar magar mumkin kahan
fatema zehra ke nauhe mein jo tha
subbat alaiyya masayebun...