Kanz e Aza

Wavaila Wavaila

A noha for Darbaar e Shaam, written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

wavaila wavaila wavaila wavaila

haye saani e zehra aur bazaar wavaila


utri thi kabhi jinke liye aaya e tatheer

shehzadiyan bazaaron mein hoti hai wo tash'heer

ki hai ye musalman ne sadaat ki tauqeer

haye hoti hai sadqon ki bauchar wavaila

haye saani e zehra...


qaidi hai wo kufe mein kabhi jinki thi shaahi

quran ki aayaat mein hai jinki gawahi

hoti hai kahin yun bhi kisi ghar ki tabahi

haye lut gayi zehra ki sarkar wavaila

haye saani e zehra...


abid ye sada dete hai thaame huwe bedi

kis mod pe laayi hai mujhe meri yateemi

langar ke sabab meri kamar hogayi dohri

haye kaise kate raahe pur khaar wavaila

haye saani e zehra...


maloom hai ye sab ko naazon ke pale hai

in kaanton pe paidal jo kayi meel chale hai

ek rassi hai aur chote bade baare gale hai

haye zulm o sitam ki hai yalghaar wavaila

haye saani e zehra...


kehta hai koi dekho wo abbas ka sar hai

rehwaar ki gardan mein jo sar garme safar hai

sharminda hai balwe mein jo zainab khule sar hai

haye naize pe chalna hai dushwaar wavaila

haye saani e zehra...


aurat koi kehti hai wo hai maadar e akbar

rakhe huwe haathon ko jo hai apne jigar par

jaise kisi barchi se ho chalni dil e maadar

haye daaghe pisar se hai seena figaar wavaila

haye saani e zehra...


kehti hai koi maa mere jarrar kahan ho

bano ne kaha asghar e nadan kahan ho

ek shor hai abbas e alamdar kahan ho

haye durre lagate hai aghiyaar wavaila

haye saani e zehra...


jab dekhti hai bali sakina ye nazare

bazaar mein har simt tamashayi hai saare

tab kehti hai baba mere tum ran ko sidhare

haye kya karun mai dukhiya lachaar wavaila

haye saani e zehra...


ay aamir o nayyar ye qayamat ki ghadi hai

zainab dar e sa'at pe sar nange khadi hai

bewaon mein kohraam hai majlis ye badi hai

haye sajta hai haakim ka darbar wavaila

haye saani e zehra...