Kanz e Aza

Zainab Kay Khulay Sar Pe, Haye Khaak Pardi Hai

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

Rotee Hoi Shabeer Ke (x2)

Laashe Pe Kharee Hai


Ghabraaee Hoi Shimr Ke, Zulmon Se Hai Zainab

Qaidee Bhi Hai Or Shaamey (x2)

Ghareebaan Ki Dari Hai


Fizza Ne Ye Ro Ke Kaha, Sajjad Se Jaa Key

Zainab Sarre Oreaan Hai (x2)

Aur Bheerd Bardi Hai


Zainab Nay Qatl Bhai Ka, Unwaan Ki Khaatir

Darbaaron Mein, Bazaaro Mein (x2)

Haye Jung Lardee Hai


Akhtar Jo Ghame Saniye, Zahra Mein Hai Rotaa

Woh Rozey Jaza Naarey (x2)

Jahanum Se Baree Hai