Kanz e Aza

Zainab ke Saath

A noha written by Jawad Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ke saath fizza haye shaam ja rahi hai

har gaam par zaeefa sadme utha rahi hai


ho shaam ho ya kufa ghazi ke baad fizza

zehra ki betiyon ka parda bana rahi hai

zainab ke saath....


is din ke waaste hi maangi thi zindagani

yun kehke taaziane mazloom kha rahi hai

zainab ke saath....


paband e rasan hoke chali karbobala se

sang zainab o kulsoom ke bazaar may aayi

sau zulm sahe sadqe magar saath na choda

fizza ne zaeefi may wafa khoob nibhayi


choda na zulm seh kar zainab ka saath is ne

zehra se jo kiya tha waada nibha rahi hai

zainab ke saath....


bazaar shaam ka hai zainab ka sar khula hai

sar ko jhukaye fizza aansu baha rahi hai

zainab ke saath....


yaad aata hai zehra ke janaze ko uthana

zainab ko wo gustakh nigahon se bachana

ye shaam ke bazaar se aati hai sadayein

fizza ki wafaon ko na bhoolega zamana


kaandhe pe kal isi ke zahra ka tha janaza

sang aaj qaid hoke zainab ke jaa rahi hai

zainab ke saath....


jawaad ashk khoon ke sajjad kyun na roye

mulke wafa ki malika dunya se jaa rahi hai

zainab ke saath....