zindan hai lahad meri kurta hai kafan mera
karna yahi janaza sajjad dafan mera
mai baap ke seene pe bade chain se soti thi
ab khaak ke bistar pe dukhta hai badan mera
zindan hai lehad...
sajjad se kehti thi zindan se reha hokar
tum jaana madine ko hai shaam watan mera
zindan hai lehad...
kehna ke chine gauhar khaaye hai tamache bhi
ay bhai agar pooche akbar ki behan mera
zindan hai lehad...
kokh ujdi hai maadar ki nam aankh hai khwahar ki
asghar ke bina bhaiya soona hai sehan mera
zindan hai lehad...
baba na chacha akbar qasim na ali asghar
ek din may ujaada hai ummat ne chaman mera
zindan hai lehad...
jawaad ye kehta hai sadqe may sakina ke
sadaat ke gham se hai wabasta sukhan mera
zindan hai lehad...