Kanz e Aza

Zindan ka Andhera

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ali Naqvi Najaf. Lyrics in Roman Urdu.

din raat sakina bibi par

zindan ka andhera rota hai

faryad yateema ki sun kar

zindan ka andhera rota hai


hai qaid mein dukhiya khaak nasheen

ammu bhi nahi baba bhi nahi

shehzadi ki is ghurbat par

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...


jo naah uthane waale thay

ab karbobala mein maare gaye

karti hai fughan wo shaam o sahar

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...


kaano se lahoo behta hi raha

thi us pe tamachon ki eeza

hai tashnalabi se zakhmi jigar

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...


kamsin khwahar hai nauha kuna

gardan mein pada hai tauq e garan

sajjad ki ghurbat par aksar

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...


abbas ki aankhon ka taara

aayi thi jo ban kar sheh ki dua

wo karti rahi kaanton pa safar

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...


yaad aata hai seena e shaah e zaman

aankhon mein bhala ab neend kahan

ghash khaati hai bekas muztar

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...


ro ro ke wo sab se kehti thi

ghabraata hai dil lagta hai yehi

jaaungi na wapas apne ghar

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...


us shehzadi ki khidmat mein

ashkon ke diye hum pesh kare

sadiyon se najaf is bibi par

zindan ka andhera rota hai

din raat sakina bibi par...