Kanz e Aza

Zindan May Sakina Ko

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Yusuf Sardar. Lyrics in Roman Urdu.

zindan may sakina ko yaad aaya wo seena

jis seena pe soti thi masoom sakina


kar taras zara zaalim baba ko na roungi

mai godh may madar ki aaram se soungi

be-rehm layeeno ne faryad suni na

zindan may sakina ko...


hai maut ki khamoshi tareeki e zindan may

kya jurm kiya logon masoom si mehman ne

koi aur to masooma yun qaid hui na

zindan may sakina ko...


har waqt chamakta tha karbal may madine may

taweez ki maanind tha shabbir ke seene may

gum hogaya wo kaise zindan may nagina

zindan may sakina ko...


phat jaye na ghairat se sajjad jigar tera

mere ghar ki ye raunaq hai kehta hai pidar tera

ye soch ke abid ko kuch hosh rahi na

zindan may sakina ko...


rukhsaar mai nana ko mehshar may dikhaungi

roodad mai zindan ki ro ro ke sunaungi

pabandi hai rone pe kehta hai kameena

zindan may sakina ko...


ay dashte ajal ruk ja beemar ko aane de

baba ke liye koi paigham sunane de

shayad meri turbat pe wo aaye kabhi na

zindan may sakina ko...


haye maut bhi hairaan thi masoom ki mayyat pe

afsos rahi karti ahmed ki raiyyat pe

tha maut ke chehre pe ghairat ka pasina

zindan may sakina ko...


sardar sakina ko zindan may dafan kar ke

sajjad ye kehte thay na kafn mila mar ke

ta hashr rulayegi teri maut sakina

zindan may sakina ko...