Kanz e Aza

Zindan Na Bhulenge

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

zindan zindan na bhoolenge hum shaam ka zindan

nadan nadan zindan mein ek mar gayi nadan

zindan zindan…


wo sham ke zindan mein sakina ka tadapna

tareeki se ghabrake wo bachi ka bilakna

jab yaad kiya ashkon ka jaari hua toofan

zindan zindan…


kehti thi sakina mere baba ko bulado

rab ke liye amma ali akbar ko bulado

kyun aate nahi lene mujhe mere chacha jaan

zindan zindan…


jab baap ka sar beti ne zindan mein paaya

liptaya kaleje se sab ehwaal sunaya

ummat ne kiya nana ki kis darja pareshan

zindan zindan…


nagaah sakina pa chali zulm ki talwaar

zindan mein namudaar hua shimr-e-sitamgaar

aur cheena sakina se sar e sarware zeeshan

zindan zindan…


sar peet ke yun kehne lagi madare muztar

haye haye meri bachi mere sar par nahi chadar

kis tarha se dukhiya mai karoon kafn ka samaan

zindan zindan…


majlis mein sakina ke liye shor o fughan hai

abbas dua maanglo ye waqt-e-dua hai

jo dil mein tumhare hai wo sab poore ho armaan

zindan zindan…