zindan se kazim ko mili kaisi rehaai
zanjeer bhi hai tan pe hai aur saath sipahi
syed ne kayi saal ruku mein hai guzaare
ro ro ke ye zindan bhi deta hai gawahi
zindan se kazim ko mili...
ya rab koi pardes mein mar jaaye na qaidi
mayyat pe na beta hai behan aur na bhai
zindan se kazim ko mili...
be gor o kafan laash thi baghdad ke pul par
lut'ti rahi be-jurm hi zehra ki kameini
zindan se kazim ko mili...
paband e salasil rahi mayyat na kisi ki
ye saatve mazloom ne hai rasm nibhayi
zindan se kazim ko mili...
kaate koi zanjeer to phir ghusl o kafan ho
deti rahi mayyat pe zehra ye duhaai
zindan se kazim ko mili...
baghdad mein sadaat pe jo zulm huwe hai
har daur ki tareekh ye deti hai gawaahi
zindan se kazim ko mili...