ay musa e kazim ay mere baab e hawaij
mohtaaj e dua hoo mai tere dar ka gada hoo
mai risq e aza risq e wafa maang raha hoo
ay musa e kazim...
mai ghair ke dar ka to sawali nahi maula
maulayi hoo aur zarf se khaali nahi maula
pehle bhi to mai aap ke tukdo pe pala hoo
ay musa e kazim...
neymat ghame shabbir ki naslon se na jaaye
baitha hoo tere dar pe msi daaman pe bichaye
maana hoo gunehgaar magar ahle aza hoo
ay musa e kazim...
jo aap ke nabiyon ke madadgaar hai maula
mansab wohi allah ne hai aap ko baksha
mai aap ke rauze ko najaf jaan raha hoo
ay musa e kazim...
maqrooz hoo nadaar hoo bemaar o pareshan
hai aap maseeha e jahan waaris e quran
tukda tere khaane se bacha maang raha hoo
ay musa e kazim...
jo godiyan aulaad ki neymat se hai khaali
pakde huwe wo aap ke rauze ki hai jaali
mai bhi kisi kone may yahin mehwe dua hoo
ay musa e kazim...
ay baab e ata waasta zainab ki rida ka
matam se jo chadar ka diya karti hai pursa
un behno ke parde ki baqa maang raha hoo
ay musa e kazim...
kuch aisi kaneezein bhi hai sarkar tumhari
bachpan se sare farsh e aza umr guzaari
ghar unke base unke areeze ki nawa hoo
ay musa e kazim...
maula ka azadar namazi bhi bada ho
aaqa tere rauze pe ye maqbool dua ho
ye arz liye aap ki chaukat pe khada hoo
ay musa e kazim...
baghdad may jo zulm o sitam aap pe guzre
wo soch ke maula mere aansu nahi rukte
us gham se sabab aaj bhi mai mehve buka hoo
ay musa e kazim...
zanjeeron may jakda hua taboot rakha tha
mazdooron ne maula tere laashe ko uthaya
purse ke liye shehr e khurasan gaya hoo
ay musa e kazim...
mai musa e kazim ka azadar hoo rehaan
mashad may chalo pursa kuna is tarha rizwan
khud maula raza kehde tumhe deta dua hoo
ay musa e kazim...