ay sabz qaba maula ay surkh kafan maula
barsaat hai teeron ki kyun tujhpe hassan maula
ye kaisa janaza haijo laut ke ghar aaya
is teri ghareebi pe roti hai behan maula
ay sabz qaba maula...
haye zehr e halahal ne kaise ye sitam dhaya
tukde hai jigar tera zakkhmi hai dahan maula
ay sabz qaba maula...
abbas ye ro ro ke kehne lage sarwar se
dekhe to zara kitne zakhmi hai hassan maula
ay sabz qaba maula...
jab tere janaze par teeron ki hui baarish
kis tarha sahi tu ne teeron ki chuban maula
ay sabz qaba maula...
aulaad e mohamed par jaari hai sitam haye
kyun ahle madina ka badla hai chalan maula
ay sabz qaba maula...
jis tarha jigar tera tukde hai isi tarha
bat jayega tukdon may qasim ka badan maula
ay sabz qaba maula...
jin haaton se zainab ne teeron ko nikaala hai
hogi unhi haathon may ek roz rasan maula
ay sabz qaba maula...
ay maula teri tarha zakhmi hai teri turbat
hai ghair teri khaatir apna hi watan maula
ay sabz qaba maula...
rehaan o raza haye girya na kare kyun kar
phir fatema zehra ka ujda hai chaman maula
ay sabz qaba maula...