Kanz e Aza

Ay Shame Ghariban

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ay shaam e ghariban ay shaam e ghariban


zainab ki sada aayi

ay shaam e ghariban ay shaam e ghariban


kya bhai ki khata thi kya bhai ki khata thi

ay shaam e ghariban


sab qaime jal chuke hai chadar nahi hai sar par

akbar raha na ghazi ay shaam e ghariban

ay shaam e ghariban...


seene pe sone waali khaati hai ab tamache

hadh hogayi jafa ki ay shaam e ghariban

ay shaam e ghariban...


jalte huwe gharon mein jhoola bhi jal gaya hai

rota hai aasman bhi ay shaam e ghariban

ay shaam e ghariban...


ghash mein pada hai abid kaise jagaye zainab

hai har taraf udaasi hai ay shaam e ghariban

ay shaam e ghariban...


be-sar pade hai laashe zainab kise sada de

looti gayi ridayein ay shaam e ghariban

ay shaam e ghariban...


baazu bandhe huwe hai qaidi bani hui hai

kufe ki shaahzadi ay shaam e ghariban

ay shaam e ghariban...


rehaan ran may tadpa ek bawafa ka laasha

zainab ne jab sada di ay shaam e ghariban

ay shaam e ghariban...