asre ashoor hai aap ke shaah ka
zere khanjar gala
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala karbala karbala
baade shabbir hai saani e khaafila
dasht mein berida
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
zulm hadh se bada qaima qaima jala
sar chupaye kahan berida bibiyan
rota hai aasmaan
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
kya qayamat hai ye noke naiza pe hai
farse shaahe huda
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
muztarib hai behan khatm hai panjetan
aasman gir pada aa gaya zalzala
roti hai fatema
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
garm reti pa hai rab pa takiya kiye
aap ka laadla
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
kab wo anjaan thay sab musalman thay
sabr ki daastan kis tarha ho bayan
ruk rahi hai zaban
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
pani maanga kiye aur tadpa kiye
shaah e karbobala
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
asr e ashoor tha dushmano ke talay
saf se aage bade sheh ko ghayre rahe
teer o khanjar chale
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
dasht ki khaak par jisme shabbir se
khoon behta raha
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
zulm dekha kare kis se zainab kahe
dilbar e murtuza bhai shabbir ka
nehr par so raha
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
har taraf hai dhuan aap ka ghar jala
shola bhadka kiya
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
koi yawar nahi jal raha hai makaan
uth raha hai dhuan jaaye raandein kahan
hashr ka hai samaan
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
roti hai bibiyan laasha abbas ka
nehr par hai pada
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
gham ki hai inteha roti hai karbala
haal e beemar par bibiyan nauhagar
naiza naiza hai sar
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
jaanib e shaam ab ek rasan mein bandha
jaata hai khaafila
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...
kaise mahir bayan gham ki ho daastan
berida hai haram sabki ankhein hai nam
gardane sabki kham
ya rasoole khuda ya rasoole khuda
lab par zainab ke hai ay nabi e khuda
aaiye karbala
khuld se mustafa dekhiye to zara
manzar e karbala...