de kar alam jo sheh ne hyder bana diya
saqqa ne saara saahil khyber bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
aaye ali to rab ne khush aamdeed keh kar
deewar may haram ki ek dar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
saj kar imambara hum ye samajh rahe hai
jannat ke raaste may ek ghar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
pehnayi ja rahi hai dunya may mannato se
abid ne hathkadi ko zewar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
mehshar bapa kiye hai do ungliyan ali ki
bachon ka ek gharonda khyber bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
naame yazeed dar dar phirta hai moo chupaye
aisa hussain tumne be-ghar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
apne mujahidon ko saj kar hussain ne bhi
salman bana diya hai buzar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
abbas ki suja'at saahil pa koi dekhe
hyder se milta jhulta tewar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
mimbar pa jaa ke khoon may mursal e murtaza ko
maula bana ke sab se bar-tar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
madhe ali ki khaatir kitne hi meesamo ne
dunya may sooliyon ko mimbar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...
kismat ne mujhko mahir meraaj baksh di hai
mujhko ghulame shaah e qambar bana diya hai
de kar alam jo sheh ne...