dhoondti phirti hai zainab laashon mein abbas ko
karti hai mehsoos ro ke aahon mein abbas ko
fikr hai maqtal mein zainab ko faqat laahaq yehi
rassiyan aaye nazar na baahon mein abbas ko
dhoondti phirti hai zainab...
maangne wapas zamanat chadaron ki aagayi
dekha hai jab barchiyon ki chaaon mein abbas ko
dhoondti phirti hai zainab...
kis tarha bin baazuon ka laasha bhoolegi behan
ke jawan hote hai dekha haathon mein abbas ko
dhoondti phirti hai zainab...
zikr apno se bichadne ka kahin bhi gar hua
le hi aati thi wo dukhiya baaton mein abbas ko
dhoondti phirti hai zainab...
gir hi jaata hai sina ki nok se har baar sar
be-rida sar jab dikha hai raahon mein abbas ko
dhoondti phirti hai zainab...
jo wafayein jaanti hai hai dilon mein ba-khuda
bandagi ka rutba haasil maaon mein abbas ko
dhoondti phirti hai zainab...
qalb e zainab hi salamat jaanta hai kis tarha
laut aayi hai wo lekar yaadon mein abbas ko
dhoondti phirti hai zainab...