dhoop may hai qabre zehra gumbad e khizra ke paas
ye nabi karte hai nauha gumbad e khizra ke paas
naaz se paala tha is ko thi meri noor e nazar
meri ummat ne jalaya hai meri beti ka dar
ye sitam zehra pe dhaaya gumbad e khizra ke paas
dhoop may hai qabre zehra...
haye athara baras may ye huwe is par sitam
kaise kaise aur kya kya mil gaye zehra ko gham
hogayi zehra zaeefa gumbad e khizra ke paas
dhoop may hai qabre zehra...
allah allah sabr e hyder tha ye kaise marhala
fatema zehra ko jo darbar bulwaya gaya
imtehan e murtaza tha gumbad e khizra ke paas
dhoop may hai qabre zehra...
mera kalma padhne waale kar gaye kaisi jafa
jab gul e ismat ke upar jalta darwaza gira
hogaya pehlu shikasta gumbad e khizra ke paas
dhoop may hai qabre zehra...
shabbar o shabbir ko tum ne hai kaisa gham diya
haye bachon ke saron se maa ka saaya uth gaya
ro ke kehti thi ye fizza gumbad e khizra ke paas
dhoop may hai qabre zehra...
ye sada e mustafa hai baqer o safdar suno
koi qabre fatema zehra pe saaya to karo
dhoop may hai qabre zehra gumbad e khizra ke paas
dhoop may hai qabre zehra...