fatema ne haath pehlu par rakha hai aaj bhi
phasliyan tooti hai aur khoon ris raha hai aaj bhi
qabr mein nauha kuna hai fatema ki maamta
haye mohsin haye mohsin ki sada hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...
maa ke haathon mein hai kurta hazrate shabbir ka
qabre zehra mein musalsal karbala hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...
ek din tohmat lagi thi sayyeda jhooti ho tum
fatema zehra ko sadma ye bada hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...
roohe zehra karbala aur shaam mein kehti hai ye
bekafan beta hai beti berida hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...
maangne par haq mila jo ummati ke haath se
neel wo zehra ke chehre par jama hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...
dukh rahi hai ya elaahi meri maa ki phasliyan
phasliyan thaame ye mehdi ki azan hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...
bain nauha ashk waari par hai pabandi wahan
qabre zehra par sitam ka silisla hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...
qabr mein yasir mohamed mustafa ki hai buka
ye mera gham hai ke zehra ghamzada hai aaj bhi
fatema ne haath pehlu...