hussainiyam qalandaram mastam
banda e shaah e karbala hastam
peshawa e tamaam ahle gham
ke sage kuwe ibne hyderium
manam hussainiyam
mai azadaar hoo karbobala hai dil pe raqam
khuda ka shukr hai farshe aza bichata hoo
ghame hussain mein ashk e aza bahata hoo
dua e fatema zehra se hai ye khaas karam
manam hussainiyam...
mai jaanta hoo ata'on ke saare raazon ko
mai jaanta hoo wafa ke sabhi takazon ko
isi liye mai utha'ta hoo bawafa ka alam
manam hussainiyam...
utar ke arsh nasheen karbala mein kehte hai
jhuka ke apni jabeen karbala mein kehte hia
elaahi tu ne dikha di hamein bhi aaj irum
manam hussainiyam...
yazeedi fauj ne jis ko rakha tha pehre mein
wo aaj turbat e abbas par hai sajde mein
furaat choom ke kehti hai bawafa ke qadam
manam hussainiyam...
mai matami hoo khuda se mili hai ye neymat
hai daste hazarate abbas par meri bayyat
kisi yazeed ke aage ye sar na hoga kham
manam hussainiyam...
faqat mera hi nahi hal ata ka kehna hai
tamaam ahle aza innama ka kehna hai
kalaam aaj bhi ye kar rahe hai lowh o qalam
manam hussainiyam...
dikha ke pyaas ki shiddat mein hausla apna
har ek shaheed ne ye keh ke diya sar apna
hussain aap pe qurban hai ye mera dam
manam hussainiyam...
kalaam e muslim o yasir hai ye khuda mere
ghame jahan se apni panaah mein le le
jo de raha hai to de de hamein hussain ka gham
manam hussainiyam...