wo shehar -e- shaam wo darbar rang raeesana
wo jaho aur wo hasham wo yazidiyat ki ana
mila ke qaak mein sab ko lo aayee hain zainab
manane bhai ke chehlum ko ayee hai zainab
bala utha ke sitam seh ke ayee hai zainab
1. behan ne dekha gala kat te bhai ka ran mein
yateem hona sakina ka chote se sin mein
har imtehaan ko sar kar ke ayee hain zainab
2. ajeeb haal mein qasim ki laash ko dekha
falak ko tuthte kubra ke haal par dekha
nazar mein yaas ke aalam bhi layee hai zainab
3. kaata ke haatho ko ghazi jo nehar par soya
sukon -e- qalb bhi bhai bhi chain bhi khoya aur apne saath alam lekar ayee hain zainab
4. sina jo akbar -e- mehro ne khayi thi ran mein
guzar gaye the jo athara saal ke sin mein
wo daag dil pe liye ban mein ayee hai zainab
5. raha na koi bhi jab ghar ke paas bani ko
khud uth khadi huwi zainab nighaha bani ko
wo banke hazrat-e- abbas ayee hain zainab
6. ada wo kare hussaini kiya hain zainab ne
ali ke lehje mein khutba diya hain zainab ne
gham-e- hussain ka atiha bhi laayi hain zainab
7. gale pe khake jo teer -e- sitam gaye asghar
sukon ma ka bhi humrah le gaye asghar
wo ek nanha sa jhula bhi layi hain zainab
8. bana ke shaam ke zindan mein nanhi si turbat
nishan rasan ke kayi daag pusht pe sarwat
baraye ahle watan kuch to laayi hain zainab