Aake zainab ne di sada bhai
Mera sab ghar ujad gaya bhai
Uth'ke dekho to qabre at'har se
Mera kya haal ho gaya bhai
Pusht zaqmi kamar qameedah hai
taik ke chalti hu'n asaa bhai
lad khadaati hu'n chal nahi sakti
Uth ke do mujh ko aasra bhai
Ek sajjade naatawaa'n ke siwa
koi baaqi nahi bacha bhai
Khoke aayi hu'n mai sakina ko
jaa'n gaza hai ye waaqeya bhai
Arbaee'n dhoom se manaane ka
Dil me armaan reh gaya bhai
Ahle yasrab ka kis tarah bolo
Kar sakoongi mai saamna bhai
jaa rahi hu'n watan khuda haafiz
Muntazar hongi fatima bhai
Maa ku turbat pa jaake ro'ungi
Rone se jee nahi bhara bhai
Pooche tumko jo fatima soughra
Us ko bolo kahu'n mai kya bhai