mere abbas aajao mere abbas aajao
kaha zainab ne roro kar
mere abbas aajao
ye kaisa hai sitam ham par
hai naize par sare sarwar
jala abid kabhi bistar
chhini jaati hai ab chadar
musibat se bacha jao
sakina ko mila pursa
tamacho'n se yateemi ka
hai zinda'n mai wo ab tanha
bohat ghamdeeda hai dukhiya
use dil se laga jao
bohat hai baar-e-gham bhai
kamar hai jaise qam bhai
hai eeza dam badam bhai
khade hain kab se ham bhai
hame aakar bitha jao
hame pal pal rulaate hai'n
adu dar dar phiraate hain
tamasha bhi banaate hain
sitam is darja dhaate hain
jiyu'n kaise batajao
charaghe gham ye kehta hai
ye kaisa qaid khana hai
andhera hi andhera hai
sakina ka janaza hai
lahad uski banajao
rasan basta teri jaayi
khule sar aye mere bhai
bohat seh seh ke ruswai
sare darbar tak aayi
bas ek chadar dilajao
hamara naam lele ke
bhare darbaar me aise
ye zalim kehta hai ham se
kaha'n hai'n chaahne wale
jalaal apna dikha jao