chod ke turbat ghar may aaja
godh may kar aaraam asghar
mere asghar aa gayi shaam
bano dukhiya karti hai nauha
qaime may hai korhaam asghar
mere asghar aa gayi shaam
shaam e ghariban phaili hui hai
masnad e zainab khaak bani hai
tujhko dhoonde teri sakina
pani ka le kar jaam asghar
mere asghar aa gayi...
mat bhulo ulfat ke kareene
ghutniyo chalte aao madine
khat may likh kar bheja hai tumko
sughra ne paighaam asghar
mere asghar aa gayi...
jal gaye qaime lut gaya jhoola
aah karoo to padta hai durra
subha se shab tak shab se saher tak
rona hai mera kaam asghar
mere asghar aa gayi...
maa ko aa kar ruqsat kar do
aankhon ke saagar ashkon se bhar do
qaidi ban kar karbobala se
jaate hai hum shaam asghar
mere asghar aa gayi...
mahir hai bano ke naale
godh may meri kyun nahi aate
raat ke sannate may tumko
kaise mila aaram asghar
mere asghar aa gayi...