misaale mauj ajal par ubhar ubhar ke chale
hussain waale chale aur ban sawar ke chale
zohair aaye habeeb aaye nusrat e shah ko
qamar ke gird sitare nikhar nikhar ke chale
misaale mauj ajal par...
ali ka sher suye nehr yun chala jaise
shikaar dekh ke zaigham tehar tehar ke chale
misaale mauj ajal par...
nigaah kehti hai abbas ki sar e saahil
kahan hai fauj e udoo hum to mashk bhar ke chale
misaale mauj ajal par...
kamar habeeb ne baandhi jo nusrat e sheh may
jawaniyo ke iraade sawar sawar ke chale
misaale mauj ajal par...
naha ke nikla hai laila ke aansuon may shabab
na kyun jawani e akbar nikhar nikhar ke chale
misaale mauj ajal par...
safon ko tod ke jaate hai is tarah abbas
safeena maujon pa jaise ubhar ubhar ke chale
misaale mauj ajal par...
tawaaf e rauza e shabbir ki tamanna may
farishte baam e falak se utar utar ke chale
misaale mauj ajal par...
qalam uthaate hi madhe hussain may mahir
tasavuraat may mazmoon sawar sawar ke chale
misaale mauj ajal par...