na poocho dushmane emaan se
noor e ali kya hai
jo khud andha hai wo kaise bataye
ke roshni kya hai
na poocho dushmane...
zaban katwa ke apni kar gaye ehsaan ye meesum
samajhna sabse mushkil kaam tha ishq e ali kya hai
na poocho dushmane...
mohamed aur ali dono ka jalwa ek jalwa hai
koi kaise batayega nabi kya hai wasi kya hai
na poocho dushmane...
kiya hamla kaha abbas ne darya ki faujon se
zara tehro bataate hai jalaal e hyderi kya hai
na poocho dushmane...
sare saahil qayamat dekhna kuch dayr guzre to
abhi to ghaiz may abbas aate hai abhi kya hai
na poocho dushmane...
mere shabbir de do saath bete aaj raahib ko
riza e rashk e maalik ho tumhe maula kami kya hai
na poocho dushmane...
ali ne ek shab e hijrat may khud paighambari ki hi
ali se poochiye batlayenge paigambari kya hai
na poocho dushmane...
ye hai dozak ka angaara wo hai firdaus ka maalik
yazeed e shaam kya hai aur farzand e nabi kya hai
na poocho dushmane...
ali se taaba qayam silsila hai noor ka khaayal
wo baara manzilein hai noor ki baaradari kya hai
na poocho dushmane...
mai mahir kya karunga dekh kar dunya ko nazron se
dar e shabbir par baitha hua hoo ab kami kya hai
na poocho dushmane...