Kanz e Aza

Namazi Maara Gaya

A noha for Imam Ali (a.s), written by Hurr Sultanpuri (2026). Lyrics in Roman Urdu.

wavaila wavaila


masjid mein namazi maara gya wawaila

hasnain ka baba qatl hua wawaila


ye kaisa ajab hai zulm hua

ahmad ke wasi ko qatl kiya

hai khoon mein doobi saari qaba

masjid mein namazi...


kulsoom aur zainab roti hai

baba se lipat kar kehti hai

aankhein to zara kholo baba

masjid mein namazi...


bacchon se juda hote hai ali

zahra ne lehed apni chodi

hai binte pyambar ka nauha

masjid mein namazi...


behaal hai jaan khote hai hussain

ye keh ke bahot rote hai hussain

imdaad karo amma zahra

masjid mein namazi...


ghazi ki ajab hi haalat hai

chehre pe ajab si ghurbat hai

sadma hai bahot dil par gehra

masjid mein namazi...


taboot e ali jab ghar se chala

beti ka kaleja phatne laga

ghash khaa ke giri zainab dukhiya

masjid mein namazi...


kufe mein qayamat barpa thi

hur jinn o bashar rote thay sabhi

sar peet ke kehti thi zahra

masjid mein namazi...