Kanz e Aza

Qadam Qadam Pe Ali

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mujahid Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

qadam qadam pe ali ko pukarte rehna


rawan hai kashti e imaan isi sahare se

na ruk sakegi ye zulm o sitam ke dhaare se

ali ke naam pe lag jayegi kanare se

har ek mauj se saahil ubhaarte rehna

qadam qadam pe ali ko…


rahe hayaat mein manzil ko dhoondne walon

talashe haq mein na dar dar ki thokare khao

hamari mano to suye najaf chale aao

is aasthane pe kismat sawarte rehna

qadam qadam pe ali ko…


ali hai name khuda aur isne aazam hai

yehi wo naam hai jis par baqa e aalam hai

khuda ke ghar mein jo ubhra wo naqsh e mohkam hai

ye naqsh dil mein har ek ke utaarte rehna

qadam qadam pe ali ko…


nabi gawah hai zikre ali ibadat hai

amal ye nayk hai sabse badi sa'adat hai

ali ke naam pe maut aaye to shahadat hai

nazha ke waqt bhi usko pukarte rehna

qadam qadam pe ali ko…


na koi ghazwa e kyber mein jabke kaam aaya

rasool e paak ke lab par ali ka naam aaya

idhar zaban hili thi udhar imam aaya

ke jiska kaam hai bigdi sawarte rehna

qadam qadam pe ali ko…


kabhi jo maareka e haq ki baat aayegi

nigah e fikr hunar aap par bhi jayegi

hunanin o badr o ohad karbala batayegi

likha hai kiske muqaddar mein haarte rehna

qadam qadam pe ali ko…


bataye soch ke wo hifz jinko quran hai

ke jo ali ka maane wo kab musalman hai

mujahid apna to nade ali pe emaan hai

isi sahare se hasti guzarte rehna

qadam qadam pe ali ko…