karte thay jibreel ye nauha qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
rone lagi masjid e kufa qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
khaana e zehra mein jab pahunchi ye gham ki khabar
taygh e jafa chal gayi hyder e karrar par
khoon mein dooba hai musalla qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
kufe ki galiyon mein thi ek qayamat bapa
bewa yateemon mein ye naala o shehwan utha
kaun hamein dega sahara qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
baap ko is haal mein dekh ke roye pisar
zakhmi pade hai ali saara badan khoon mein tar
keh ke yehi pheka amama qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
ek chatayi pe phir unko litaaya gaya
khaana e zehra mein jab maula ko laaya gaya
karti thi shehzadiyan nauha qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
dekhi jo jarraah ne zakhmi jabeene ali
shabbar o shabbir se roke wo bola yehi
kaise kahoo aap se jumla qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
daagh e yateemi mila syed e mazloom ko
kaun sambhalega ab zainab o kulsoom ko
sab se bada hai yehi sadma qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
ro ke hi unnees aur bees ka din kat gaya
aayi jo ikeeswi kar gaye maula qaza
goonj raha tha yehi nauha qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
roti hai shehzadiyan kunba dilafgaar hai
hyder e karraar ka aakhri deedar hai
ab hai tassalli na dilaasa qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...
mazhar o mesum yunhi nauhe ka haq ho ada
lafz padhe marsiya aur labon par buka
kehte huwe ek hi jumla qatl huwe sher e khuda
haye ali haye
karte thay jibreel ye...