shaam ki qaid mein saydaniyan aseer hui
rasool zadiyan haakim ki dastageer hui
qayamat aayi na kyun kibriya zamane mein
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
ye keh ke sayyed e sajjad khoon rote thay
naseeb e waqt ne dikhlaye marhale kaise
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...
zameer mar gaye insan ke dil huwe patthar
ye imtehan bhi kaisa hai khaaliq e akbar
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...
ye keh ke aankh se zainab ne ashk barsaye
jhuka jo sar mere bemaar ka sabab ye hai
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...
nabi ki aal ye ghurbat ye bekasi maalik
ke kaayenat fana kyun na hogayi maalik
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...
sitam ye kaisa hai ehsaas to karo logon
yazeedi mehel mein charcha ye hogaya dekho
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...
sar apna peet liya jab khabar ye paayi
janabe hind ke kaano mein jab khabar aayi
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...
lehed mein khaak udaane lage habeeb e khuda
gayi jo shaam se yasrab talak kisi ki sada
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...
ye mazhar abidi phir kuch bhi likh nahi paaya
wo shadman ke honton pe marsiya aaya
ali ki betiyan aayi hai qaid khane mein
qayamat aayi na...