Kanz e Aza

Saaqi Altash

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ay saqi babul hawaej ay sakina ke chacha

zainab o kulsoom ki chadar haram ka aasra

ay jari tum fatema zehra ke dil ki ho dua


bachon ki aas ho tum to abbas ho

pyase bachon ke labon par hai nauha pyaas ka

saaqi altash ay abal fazlil abbas


jo hai jaah o hasham uska rakho bharam

karti hai ye buka binte shaah e umam

aaya honton pe dam ye lo mashk o alam

ye na ho pyaas se mar jaye pyase be khata

mere pyare chacha abal fazlil abbas

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


sunlo ay bawafa al atash ki sada

shiddat se pyaas ki jeena mushkil hua

kooze haathon mein hai aur lab pe ilteja

pani le aao is se pehle ke aaye qaza

mere pyare chacha abal fazlil abbas

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


lashkar e ashqiyan ghere hai alqama

teen din hogaye pani nahi mila

ghar ko aaya nahi maqtal ko jo gaya

tum to khyber kusha ke laal ho jao zara

mere pyare chacha abal fazlil abbas

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


sab hi din bhar gaye sadme de kar gaye

zainab ke laadle bhaiya akbar gaye

sheh par hone fida aun o jafar gaye

tum hi ho paas tum se aas hai ay bawafa

mere pyare chacha abal fazlil abbas

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


dekho sookhi zaban ay meer e karwan

tum se bole nahi to phir jaaye kahan

zulmat ki dhoop hai aur tum ho sayeban

tum to is dashte bala mein ho sab ka aasra

mere pyare chacha abal fazlil abbas

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


sun ke aah o buka ghazi e bawafa

le ke mashk o alam darya ko chal diya

sheh ne thaami kamar zainab ne ki dua

mere mabood zindabad rahe ye sada

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


pahuncha wo bawafa wo cheeni alqama

mashkeeza bhar liya qaimon ko chal diya

chid gayi teer se mashk pani baha

girte dekha jo alam sheh ne kiya marsiya

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


baazu kar ke fida ghode se jab gira

girte hi khaak par aaqa ko di sada

pahunche shahe umam laashe pe ki buka

mujhko ek baar kaho bhai mere bawafa

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


fizza ne di khabar bibiyon peeto sar

tha jis ka aasra sogaya nehr par

pyase ghash kha gaye ro diye behrobar

qaimon mein mazhar o irfan ye kohraam tha

saaqi altash ay abal fazlil abbas...


do laashe aise hai qaimon mein nahi aaye

ek laasha sarwar ka ek laasha ghazi ka