sakina ye pardes hai
wo shaam ka be-sukoon qaid khana
har soo udasi thi har soo andhera
hijre padar mein tadapati thi bachi
bano ye ro ro ke samjha rahi thi
baba se milne ki zid na karo
sakina ye pardes hai
na roz o shab aise roya karo
sakina ye pardes hai
maarega tumko tamache sitamgar
royegi zindan mein gar tadap kar
tumse hai ye ilteja meri muztar
raaton ko uthkar na roya karo
sakina ye pardes hai...
kyun qaid faryad o aah o buka hai
har saans zindan mein ek saza hai
kyun tere rone pe pehra laga hai
ek baat har waqt socha karo
sakina ye pardes hai...
ye neele rukhsaar gham ki satayi
zakhmi gala aur ye kaan zakhmi
zindan mein kisko dikhaogi bibi
hamdard koi na dhoonda karo
sakina ye pardes hai...
jab shor e giryan jagata hai usko
durre sitamgar lagata hai tum ko
ay meri bachi agar rona chaho
seena mein ghut ghut ke roya karo
sakina ye pardes hai...
aayenge baba ye socha tha bibi
qismat mein lekin kahan ye khushi thi
ye khaake zindan hai qismat tumhari
ab tum khuda pe hi taqya karo
sakina ye pardes hai...
ye zakhm kaise bharenge tumhare
na shehr apna hai na log apne
durre hi marham ke badle milenge
marham ki umeed ab na karo
sakina ye pardes hai...
rone se haasil bhi kya meri dukhiya
ye shaam waale to sangdil hai beta
tumko dilaase yahan kaun dega
matam karo chaahe nauha karo
sakina ye pardes hai...
safdar ye ro ro ke kehti thi bano
ay meri bachi meri baat maano
is shehre gham ko watan tum na jano
har zakhm dil pe uthaya karo
sakina ye pardes hai...