ay shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai dhuaan shaam e ghariban
ab ahle haram jaaye kahan shaam e ghariban
jis samt nazar jaaye wahan laashe hai be sar
abbas e alamdar kahin qasim o akbar
maare gaye sab peer o jawan shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai...
seena mere baba ka nahi so'un kahan par
zakhmi hai mere kaan lahoo se hai qaba tar
hai baali sakina ki fughan shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai...
pehre pe alamdar nahi binte ali hai
ab koi madadgaar nahi binte ali hai
hai naade ali wird e zaban shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai...
qaime bhi jale aur rida sar pe nahi hai
ujde huwe sadaat hai aur garm zameen hai
pyase hai sabhi nauha kuna shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai...
kab jalne laga aag mein sajjad ka bistar
bemaar ko sholon se behan laayi bacha kar
hai halqe bureeda ki fughan shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai...
bhai ko behan roye kahin beton ko maadar
kehti hai koi bibi ke haye haye meri chadar
kaisa hai qayamat ka samaan shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai...
kya dard ka manzar tha bayan kaise ho safdar
khoon roya hai likhte huwe har baat ko mazhar
kyun bhoole nahi ahle jahan shaam e ghariban
har qaime se uth'ta hai...