suraj ne jab sehar ka safar kar liya tamam
qaimo ki samt badne laga phir ghuroore shaam
zulmat ne roshni se liya kaisa inteqaam
jalne lage rasool ki aulaad ke qayaam
shola fishaniyo ka nateeja ayan hua
har arshe bari ki samt rawana dhuan hua
suraj ne jab sehar…
ummat nabi ki loot rahi thi nabi ka ghar
tareekh likh rahi thi ye rodaad khair o shar
daman tha karbala ka shaheedo ke khoon se tar
bikhra pada tha khaak pe quran idhar udhar
kitne machal rahe thay fizaon ki godh mein
bache dehal ke chup gaye maa'on ki godh mein
suraj ne jab sehar…
aise mein ek rasool ki bemisl yaadgaar
qaimon ki aag jiski ghareebi se sharmsaar
abid ki justuju mein bahattar ki soghwaar
jaati thi qaimagah mein ghabrake baar baar
paaya jo ghash mein hujjate parwar digaar ko
zainab uthake laayi shariyat ke baar ko
suraj ne jab sehar…
shana hila ke sayyede sajjad se kaha
beta utho ke sar se mere chin chuki rida
baaje baja rahe hai udhar dushmane khuda
naize pe aa chuka hai sare shaahe karbala
dhaaye hue ye raat qayamat ka roop hai
ab iske baad subho aseeri ki dhoop hai
suraj ne jab sehar…
kitna kathin tha saani e zehra ka imtehan
bhai ka gham raseeda liye ghar ki pasbaan
qaime to jal chuke thay basad hoti shab kahan
sehra ki khaak zere qadam sar pe aasman
abbas ke amal ko fareeza bana liya
zainab ne ab hussain ka parcham utha liya
suraj ne jab sehar…
maqtal se suye shaam hua khaafila rawan
oonton pe ahle bayt thay sajjad saarban
kaanton pe chal raha shariyat ka pasbaan
gardan ka tauq paon ki zanjeer nauhakhan
allah ki raza ko galay se lagaye tha
bemaar baar aalame imkaan uthaye tha
suraj ne jab sehar…