wo teen din ki pyas wo tashna labon ki shaam
apne gharon se door wo un begharon ki shaam
bewa'on ki yateemon ki aur qaidi'on ki shaam
durron ki taziyano ki aur khanjaron ki shaam
wo teen din…
be-saaya aasmaan wo maqtal garm rayt
sehra e be-amaan mein wo khastaton ki shaam
wo teen din…
qaimon ke ird gird wo laashe azizon ke
aur dashte karbala mein wo un be-saron ki shaam
wo teen din…
le jaye kaun inka lahoo bastiyon ki samt
phaili ye saare shehr mein ab dushmano ki shaam
wo teen din…
asghar tumhari yaad mein hum sab hai ashqbaar
bibi sakina dekhiye ye ansuon ki shaam
wo teen din…
wo gyarveen ke chand ki afsurda roshni
baal'on se moo chipaye wo shehzadiyon ki shaam
wo teen din…