ye dashte wehshat ye shame ghurbat
ye kaun darya se aa raha hai
hai ali ki beti hai taygh bar kar
jalaal chehre pe cha raha hai
ye dashte wehshat…
jale pade ek taraf hai qaime
hai ek taraf bekason ki zaari
hai godiyon may bilakte bache
samaa wo unko dara raha hai
ye dashte wehshat…
bahot se sadme utha chuke hai
nayeef aur zaar ho gaye hai
hai saamne waarison ke laashe
ye gham bahot un ko kha raha hai
ye dashte wehshat…
us aane waale pe sab hai hairaan
ke uske aane ka kya hai maqsad
ye aur kya loot lega aa kar
yahan bhala kya dhara raha hai
ye dashte wehshat…
idhar ye sab baithe sochte hai
udhar wo badta hai badne waala
sawaar aspe safayd pe hai
niqaab se rukh chupa raha hai
ye dashte wehshat…
ali ki beti ye poochti hai
us aane wale ki hai gharaz kya
magar wo khamosh ho ke
rehwaar apna aage bada raha hai
ye dashte wehshat…
ghazab ke aalam may keh rahi hai
ke badne wale zara sambhal ja
mai binte khilla shikan hoo sunle
mujhe bhala tu dara raha hai
ye dashte wehshat…
wo aane waala niqaab ulat kar
ye keh raha hai ke dekh zainab
ye baap tera hai meri beti
teri hifazat ko aa raha hai
ye dashte wehshat…
ye sunke zainab tadap gayi hai
ye keh rahi hai ke haye baba
hussain dunya se jaa chuke hai
hamare nazdeek kya raha hai
ye dashte wehshat…