Hai sitamgaaron ka nargha Ya Ali ab Aaiye
Har tarf mehshar hai barpa Ya Ali ab Aaiye
Khaak par hai Jaane Zehra Ya Ali ab Aaiye
Hai ye Aalam bekasi ka Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Bain Karti thi ye Zainab darmiyane Karbala
Hain kahan Abbaso Qasim hamShabihe Mustafa
Kisko de awaaz Zainab koun ab baagqi raha
Ab nahi'n koi Sahara Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Hai dayaare tegho khanjar zindagi be-aas hai
Dhoop hai dashte bala hai ranjo Gham hai yaas hai
Hai lahu zaqmon se jaari aur ghazab ki pyaas hai
Muztarib hai Qalbe Zehra Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Ek Tane Mazloom par teero tabar tegho sina
Dekh kar Mazloom ko zulmo sitam ke darmiya'n
Khoo'n barasta hai zami'n par ro raha hai aasma'n
Hai ye manzar Karbala ka Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Hashr ka manzar ayaa'n hai har taraf kohraam hai
Jal rahi hai Karbala Shabbir tashna kaam hai
Tegh hai sookha gala hai asr ka hangaam hai
Hai Qayamat ka ye lamha Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye
Wo siya aandhi uthi suraj gahan me aagaya
Hogaya Tann se juda Sar Fatima ke Lal ka
Hai Fareed ab Karbala me Wa Hussaina ki sada
Chhaagaya har su andhera Ya Ali ab Aaiye
Zainab e Muztar Hai Tanha Ya Ali ab Aaiye