zainab ye bayan karti ba haal pareshan
ay shame e ghariban
bhai mera maara gaya sar hogaya uryan
ay shame e ghariban
abbas kahan ho mera ehwaal to dekho
bachon ki khabar lo
kyun rehgaye darya ki taraai mein meri jaan
ay shame e ghariban
maqtal to sidhare thay ajab shaan se beta
maadar ko hai shikwa
mujh kokh jali ko tha tere byah ka arman
ay shame e ghariban
athara bani fathema mein ab nahi koi
khaaliq ki duhaai
bechain kahoo ja jaye hur aayi hai mehman
ay shame e ghariban
jhoole ke kareeb aake kaha bano se sheh ne
kuch tu hi bata de
shish maah mera kaunse badal mein hai filhaal
ay shame e ghariban
din raat tadapta hai zafar dil ko sambhale
kis tarha nikaale
qabre shahe bekas ki ziyarat ka hai armaan
ay shame e ghariban