ye shaam e ghariban mein thi zainab ki duhaai
aaja mere bhai
mai reh gayi is dasht mein tanha mere bhai
aaja mere bhai
ye shaam e ghariban…
ab asghar o akbar hai na shabbir hai baaqi
ghurbat hai bala ki
sab lut gayi pardes mein amma ki kameini
aaja mere bhai
ye shaam e ghariban…
ro ro ke sada deti thi wo dard ki maari
ay bhai mai waari
mazloom behan seh nahi payegi judaai
aaja mere bhai
ye shaam e ghariban…
kyun pyaas ke maaron ki nahi sunte ho aahein
veraan hai nigahein
kya aisi mere bhaiya tumhe bhaayi taraai
aaja mere bhai
ye shaam e ghariban…
jab zainab e dilgeer chali jaanib e zindan
behaal o pareshan
mud mud ke sada deti rahi gham ki satayi
aaja mere bhai
ye shaam e ghariban…
jab shaam ke bazaar mein ye khaafila pahuncha
ek hashr tha barpa
awaaz larazte huwe honton se ye aayi
aaja mere bhai
ye shaam e ghariban…
ek laasha labe nehr tadap jaata tha gohar
tha hashr ka manzar
jab kehti thi dil thaam ke ye fatema jaayi
aaja mere bhai
ye shaam e ghariban…