Kanz e Aza

Ay Bhai Hussaina

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

bin tere na aaram kahin payegi behna

ay bhai hussaina ay bhai hussaina


ro ro ke teri yaad mein mar jayegi behna

ay bhai hussaina ay bhai hussaina


ujde huwe kunbe ko sambhalungi mai bhai

har haal mein abid ko bachaungi mai bhai

lab par koi shikwa na kabhi layegi behna

ay bhai hussaina...


tu aalam e ghurbat mein akela tha akela

aur tha tere haathon pe jawan bete ka laasha

manzar wo kabhi bhi na bhula payegi behna

ay bhai hussaina...


ghabraegi zainab jo rida sar pe na hogi

mar jayegi zainab jo rida sar pe na hogi

bazaar mein kis tarha bhala jayegi behna

ay bhai hussaina...


bewaon yateemo ko liye bekas o muztar

darbar e yazeedi mein rasan basta khule sar

jaana hua yun bhi to na ghabraegi behna

ay bhai hussaina...


zindan mein royi jo tere gham mein sakina

dhoondegi jo sone ke liye baap ka seena

us bachi ko kis tarha se behlayegi behna

ay bhai hussaina...


de de ke sadayein tujhe jaan khoyegi zainab

tanhaai mein ghut ghut ke bahot royegi zainab

ghar jaa ke tujhe jab ke nahi payegi behna

ay bhai hussaina...


sughra ne jo poocha ke kahan hai mere bhaiya

batlao phupi amma kahan reh gaye baba

kya jaa ke bhala sughra ko batlayegi behna

ay bhai hussaina...


be gor o kafan laash jahan hai teri bhaiya

abbas e dilawar ki behan karti hai waada

rauza tera aa kar wahin banwayegi behna

ay bhai hussaina...


gohar ye kaha aur wo behan khaak se uthi

bhaiya tere qaatil ko mai jeene nahi doongi

baatil ko mita kar hi yahan aayegi behna

ay bhai hussaina...