ay ghareeb e zahra ay ghareeb e zahra
asr e ashoor ye ek maa ki hai maqtal mein sada
ay ghareeb e zahra ay ghareeb e zahra
mere bete mai teri pyaas bujhaun kaise
kund khanjar se tujhe laal bachaun kaise
khaak maqtal mein uda kar ye pukari mamta
ay ghareeb e zahra...
subhe ashoor se ab tak thay jo muztar laashe
tu ne kaandhon pe uthaye wo ekhattar laashe
gham ye hai tujhko mayassar nahi koi kaandha
ay ghareeb e zahra...
teer hi teer badan mein hai nikaale koi
maa tadapti hai tujhe laal bachaale koi
phir ye boli tera akbar tera ghazi na raha
ay ghareeb e zahra...
shimr khanjar na chala maa ye tadap kar boli
mar chuka laal mera waqte zohr pehle hi
qasim o akbar o asghar ka utha kar laasha
ay ghareeb e zahra...
mere shabbir ki hai teeron pe mayyat ghazi
hai sabab iska tumhari ye shahadat ghazi
laashe abbas pe maa kehti hai kar ke girya
ay ghareeb e zahra...
qatl ke baad ye sadma mujhe tadpayega
sar e naiza mere bete tera sar jayega
sang maarega tere sar pe ye shaam o kufa
ay ghareeb e zahra...
shimr se apni sakina ko bachana beta
tum wahan jaa ke usay saath mein laana beta
qaid khane mein sakina jo kare wavaila
ay ghareeb e zahra...
hai ye waada tere yasir ko shifa'at doongi
tere ghamkhwar ko jannat ki zamanat doongi
jab bhi sajid mujhe dega tere gham ka pursa
ay ghareeb e zahra...