ay mere hussain as-salam
ay mere imam as-salam
bekas o ghareeb as-salam
shaahe tishnakaam as-salam
alqama pe jab alam gira
goonji ye taraai mein sada
al-madad ay shaahe karbala
kehta hai ghulam as-salam
ay mere hussain…
ek sitam ye aur ho gaya
qalbe akbar-e-hazeen chida
akse mustufa ne di sada
ya shahe inaam as-salam
ay mere hussain…
kehti thi ye shaah ki behan
haye be-dayaro be-watan
berida hoo kaise doo kafan
jaa rahi hoo shaam as-salam
ay mere hussain…
ay habeeb ay hure jari
aun-o-akbar-o-mere aqi
yun hi saare dard mein ghiri
mere nayk naam as-salam
ay mere hussain…
tum kahan ho paaraye jigar
dhoondti hai tum ko ye nazar
chin chuki rida jala hai ghar
mere la-laqaam as-salam
ay mere hussain…
maine ye kalaam jo likha
is ko nazre shaah kar diya
hai yahin pa mohsin ab mera
harfe istetaam as-salam
ay mere hussain…