Kanz e Aza

Ay Musalman Ye

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Sarwar. Lyrics in Roman Urdu.

ay musalman ye bata qatl pyasa kyun kiya

kya thi khata shabbir ki

na kiya khaufe khuda cheen li sar se rida

kyun waaris e tatheer ki

ay musalman ye bata…


chal gaya sajde mein khanjar fatema ke laal par

jal gaya zahra ka ghar

lut gayi binte ali tune hi baad az nabi

is zulm ki tadbeer ki

ay musalman ye bata…


be-khata in qaidiyon ki gham bhari ye daastan

sun ke rota hai jahan

shaam ke bazaar mein abid e bemaar ne

thi khoon se tehreer ki

ay musalman ye bata…


madar e asghar tumhari zindagani ka samar

mar gaya islam par

hum na bhoolenge kabhi nok nazuk se galay mein

hurmala ke teer ki

ay musalman ye bata…


karbala se shaam tak aale payambar be-amaan

tazaiyane rassiyan

balwe mein laaya gaya haye aale mustufa

ki is tarha tauqeer ki

ay musalman ye bata…


kab talak seh paati aakhir jhidkiyan aur sayliyan

qaid ki tanhaiyan

is khadar dhaayi jafa qabr zindan mein bani hai

dukhtare shabbir ki

ay musalman ye bata…


saani e zehra barehna sar gayi bazaar mein

aur bhare darbaar mein

mehfile mehkhaar mein malka e sharm o haya ki

tume kyun tasheer ki

ay musalman ye bata…


sun ke jisko har ghadi rote hai saare matami

karte hai seena zani

aa rahi hai shaam se ab bhi wo awaaz e sarwar

tauq aur zanjeer ki

ay musalman ye bata…