sheh ran may ye farmate thay
ay paalne waale ay paalne waale
ek baap kaleje se sina kaise nikaale
hum naad e ali padte hai aajayega aaram
yun aediyan ragdo na mere gaysuon waale
ay paalne waale...
ye kehke giri qaime may maa dasht may shabbir
akbar gaye ruqsat huwe aankhon ke ujaale
ay paalne waale...
yan garm lahoo behta tha akbar ke jigar se
padte thay kaleje pe wahan laila ke chaale
ay paalne waale...
shayad de jawab apni behen ka ali akbar
qasid ko koi laasha e akbar pe bulaale
ay paalne waale...
laila se kaha sheh ne rida daal ke apni
is zakhm ko zainab ki nigahon se chipaale
ay paalne waale...
sab laashon pe zainab ne har ek maa ko sambhala
ab laasha e akbar hai usay kaun sambhale
ay paalne waale...
sajjad ye kehte huwe sheh ne rakha laasha
koi mere abbas ko darya se bulaale
ay paalne waale...