ay shabihe mustafa akbar mere tum ho kahan
baad tere karbala mein ek qayamat aa gayi
qatl sarwar hogaye aur shame ghurbat aa gayi
har taraf phaila huwa tha jalte qaimon ka dhuwan
ay shabihe mustafa…
waqt kaisa aa gaya aale nabi hai berida
durron se beemar par zaalim bhi karte hai jafa
gham mein tere ro rahe hai ye zameen o aasman
ay shabihe mustafa…
kaano se behna ke tere ab talak hai khoon rawan
cheeni hai zaalim ne uske kanon se jo baaliyan
neel hai galon pe uske hai galay mein reesma
ay shabihe mustafa…
tha bahut armaan mujhko la'un ghar teri dulhan
tere sar pe sehra baandhoo ay mere tashna dahan
koi bhi armaan mera poora na ho paya yahan
ay shabihe mustafa…
baandh kar bara galon ko ek rasan mein behaya
qaid karke le gaye hum logon ko ehle jafa
dil mera phat'ta hai jab bhi sochti hoo wo samaan
ay shabihe mustafa…
likha tha sughra ne khat mein ay mere akbar jawan
lene kyun aate nahi mujhko mere ay bhai jaan
poochegi sughra tujhe to kya kahegi us se maa
ay shabihe mustafa…
paala tha jisne wo zainab gham mein tere roti hai
haye akbar haye akbar haye akbar kehti hai
tu batade aa ke mujhko kaise samjhayegi maa
ay shabihe mustafa…
ye teri mujhse judaai hai bada mujhpe sitam
hashr tak bhoolegi na dunya ay beta tera gham
hai tera shayar ye ahmed aur hassan hai nauhaqan
ay shabihe mustafa…