Kanz e Aza

Ghar Chalo Ay

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

ghar chalo ghar chalo ay sakina

qabr e zindan pe zainab pukari

hogayi hai rehaai hamari

ghar chalo…


poochti thi ye har baar mujhse

dekh kar aasman ke parinde

phupi amma ye mujhko batado

kab talak jayenge hum madine

utho utho sarwar ki pyari

ghar chalo…


kaan zakhmi hai ab tak tumhare

utho marham unhe mai lagadoo

gar tum na saath aao hamare

kaise ghazi ko chehra dikhaun

apne ammu ki tum ho dulaari

ghar chalo…


hai ghazab ka andhera yahan par

aur kisi simt ujaala nahi hai

hai parayi ye basti yahan ki

koi ghamkhwar apna nahi hai

hogayi ye phupi tumpe waari

ghar chalo…


ab to paidal bhi tum na chalogi

aur na zulm o sitam ko sahogi

na rasan koi baandhega tumko

aur na haaton se parda karogi

mil gayi hai jo chadar tumhari

ghar chalo…


jab mai jaungi apne watan ko

ujde ghar ko mai seh na sakungi

meri masooma meri sakina

ye batao usay kya kahoongi

tumko pooche jo behna tumhari

ghar chalo…


karbala ki zameen pe hai asghar

aur saath uske soye hai sarwar

kaun dilaasa usay dega dilbar

jo yahan sogayi ho zameen par

mar na jaye ye maadar tumhari

ghar chalo…


qaid e zindan se haye ahmed

ab talak bhi reha ho na paayi

sheh ki is laadli ko ay mohsin

ye zameen kis tarha raas aayi

keh rahi thi phupi gham ki maari

ghar chalo…