Kanz e Aza

Marhaba ya Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

karbala mein is tarha ghar tera loota gaya

baap se beta choota hogaya bhai juda

tune har ek gham saha ay saware mustufa

marhaba ya hussain


sabr wo ayub ka qatm hua tha jahan

ibteda-e-sabr thi teri wo shaahe zaman

sabr tera marhaba dilbare mushkil kusha

marhaba ya hussain


deen ki taqdeer ko apne khoon se likh diya

raahe khuda-wand mein kar diya sab kuch fida

ambiya bhi arsh se keh rahe thay marhaba

marhaba ya hussain


thi teri sookhi ragay shimr ke khanjar talay

tune har ek gaam par shukr ke sajde kiye

teri wafadari pe thi ye khuda ki sada

marhaba ya hussain


bhai ke baazu diye seena e akbar diya

nanha sa asghar diya apna bhara ghar diya

deen ka moshin hai tu jaane dil e fathima

marhaba ya hussain


sar diya aur na diya haath mein zaalim ke haat

hurr ke muqadar ko bhi bakshi hai tune hayaat

tera wajaho hashm tera buland martaba

marhaba ya hussain


sar to juda hogaya par na tera sar jhuka

noke sina pe hussain sar tera ooncha raha

sabr ke aagay tere zulm nahi chal saka

marhaba ya hussain


zikr shahe deen ka fatema ke laal ka

ahmed-o-hassan se bhi haq na ada ho saka

aap ke dam se bacha ambiya ka martaba

marhaba ya hussain