Matam Hussain Ka
Buniyad lailaha ki Matam Hussain ka
Tauheed ka payam hai ye gham hussain ka..
Zikre khuda Baland hai abhi Hussain se
Aawaz hai aazan ki baqi Hussain se
Har zikr E haq mein zikar hai paiham Hussain ka
Sajide mein taige zulm se kat ta hai sheh ka sar
Shukare khud magar hai musal sal zaban par
Kya bandagi E haq mein hai aalam Hussain ka
Takra k taqatien ye sabhi haar jainge
Koi bulandia ho usse choo na payangi
Uncha rahega qalq mein parcham Hussain ka
Karbobala se door rahe ga agar Bashar
Reh reh k zulm o jaor uthate rehege sar
Duniya ko saath chahiye har dam Hussain ka
Sadiyo ke aainey ise dhundla na karsake
Duniya ki aandhiyo mein b jalte rahe diye
Hoga na dil se gham ye kabhi kam Hussain ka
Zibhe azeem haq ki baqa ka hai mareka
Nabiyo ki mehnato ka khulasa hai karbala
Lete hai naam aadam o khatam hussain ka
Har ek nabi ko haq ne kiya is se aashna
Karbobala K gham mein bohot roye Mustafa
Is waste ye gham hai muazzam hussain ka
Mehmaam hai aaj Arsh nashi is zameen pr
Matam kada bana hai har ek matami ka ghar
Aaya hai shaher e gham mein Moharram Hussain ka
Farhan Gham mein doob k nouha zara suna
Sadiq duae dati hai hum sab ko fatima
Rote hai le k naam agar hum hussain ka