Kanz e Aza

Matam Karo

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza, written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ay azadaron ay wafadaron

ay azadaron sheh ke ghamkhwaron


aagaya maahe aza ahle aza matam karo

hai janaab e sayyeda ki ye sada matam karo


chand jab maahe moharram ka nazar aane lage

kaifiyat aisi ho chehra gham se murjhane lage

karke rukh apna suye karbobala matam karo

aagaya maahe aza...


jab kahin farshe aza bichne lage rakhna khayal

teen din ki pyas mein maara gaya hai mera laal

hai yehi mere dukhe dil ki dawa matam karo

aagaya maahe aza...


bekhata maara gaya mera pisar pardes mein

loot daala zalimon ne mera ghar pardes mein

hogayi mere dulaaron par jafa matam karo

aagaya maahe aza...


eid ke din mere baba jiska naaqa khud bane

leke kapde khuld se aaya malak jiske liye

uska laasha teen din uryan raha matam karo

aagaya maahe aza...


mere bacche ka tha ek beta jo tha kadiyal jawan

ek baccha cheh mahine ka tha asghar bezaban

ho gaye pardes mein dono juda matam karo

aagaya maahe aza...


seena e akbar pe jab naiza laga mai paas thi

jab mera abbas ghode se gira mai paas thi

bat gaya tukdon mein dil us dam mera matam karo

aagaya maahe aza...


mere dil ka dard tumko dekh kar hota hai kam

ay azadaron manao mere shehzadon ka gham

doongi mai mehshar ke din iska sila matam karo

aagaya maahe aza...


jab talak saansein hai waiz ye aza jaari rahe

tum raho ya na raho lekin azadari rahe

ay ali chalta rahe ye silsila matam karo

aagaya maahe aza...