qamar e fatema ki yaad dilane ke liye
chand nikla hai moharram ka rulane ke liye
doob kar khoon mein har roz shafaq aati hai
dastane ghame shabbir sunane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..
har kali chaak gareban hai chaman mein ab tak
haye baysheer tera sog manane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..
dediya nazre khuda zar bhi pisar bhi sar bhi
hausla chahiye yun ghar ko lutane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..
pyaas ka gham nahi betaab sakina ka hai dil
jhoole mein nanhe baradar ko jhulane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..
le chala baap jawan bete ki mayyat afsos
ye zaeefi to na thi laash uthaane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..
shaah jab reh gaye tanha to tadap kar asghar
gir gaye jhoole se aagosh mein aane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..
zibha karke bhi musafir ko na maane aada
ab shaqi aaye hai qaimon ko jalane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..
ghame shabbir ko utna hi urooj aur hua
koshishe ki gayi jitne bhi mitane ke liye
qamare fatema ki...
chand to aaya hai..